Friday, December 16, 2016

Kashmakash

Wohi dunia hai wohi kashmakash hai
Besabr ho chali in hawaon se betaab hua falak hai
Dhoop mein chal rahe hai hum sab hi
Aur karte seher ki talaash ka naatak hai


Kaali abr ka ek gumnaam sa dar hai
Vapis jo le kar aaya aaj fir ghar hai

Darodeewarein ab kehti hain bahar ghoom aao
Hawayein kehti hain nahi ghar jao
Zameen kehti hai ye nahi hai tere raaste
Aasman ne bhi tod diye humse vaasta

Hum fir bhi nikal pade hai
Kal ki talaash mein
Kya jaane kal hi aa jaye humari aas mein

Wo dur se chali aati hai awaz meri
Kahi chattano me dabi hui cheekho ki tarah
Kisi ki dheemi siskiyo mein aaj bhi jaise aasman garaj raha hai
Kahi dil k kisi kone me aaj bhi Allah bas raha h


Dastoor hai zamane ke jo gala ghot dete hai
Maarte to nahi par adhmara chhod dete hai
Shayad is neele aasman k paar ek aur duniya hai
Jaha muflisi mae jeena jayaz hai
Jaha insaan ki insaan ko kadr hai
Jaha dil bhi sheeshe sa paak saaf hai

Mehroom ho mera har katra wahi
Aur jab insaaf ki ghadi ho
Aur gunaaho ka hisaab ho
Meri ibaadatein bhool kar
Meri masoomiyat nakaar kar
Toota dil dena mujhe uska
Jiske kal ki badnaseebi mae Tune
Khushnaseebi meri rakhi thi chhupakar